BIKE BOT Cheque Bounced Legal Notice. How to Send Legal Notice to Bike Bot?

BIKE BOT CHEQUE BOUNCE LEGAL NOTICE,BIKE BOT CHEQUE BOUNCE
BIKE BOT CHEQUE BOUNCE LEGAL NOTICE.

BIKE BOT Cheque Bounced Legal Action: 

                                                  Hello dosto swagat aapka hamare website me aur aaj mai dobara se aapke liye BIKE BOT se related ek bahut hi jaruri topic  ko lekar aaya hu,aur mai aasha karta hu ki aapke pure doubt clear ho jaenge aur bahut hi simple language me aapko BIKE BOT Cheque Bounced Legal action ke bare me samjhane ki puri koshish karunga.
                                             Jaisa ki app log janate h ki BIKE BOT company ne Investor ko murkh banane ke liye, Noble Co-opertive bank ke post dated ko sabhi investor  ko bahut hi jyada matra me baant diya tha.Aur logo ko bola ki jaise hi cheque ki date aa jaegi to isi cheque ko bank me lagakar wo apna paisa yani ki unki maturity amount ko bank se apne account me le sakte h.lekin hua iske oposite sab kuch kyoki jaise  hi logo  ne bank me apne cheque ko lagaya sabhi cheque bounced hone start ho gae aur ek bhi investor  ko cheque se payment nahi mila aur abhi sabhi log confused h ki wo cheque bounced hone ke case me kya kare jisase ki unka pura paisa unko mil sake.
\

Who can filed Legal Action against Cheque Bounced:     

                                                       Dosto abhi sabhi logo ke dimag me ye aa raha hoga ki aaj hi hum cheque bounced case ko filed kar de ya phir directly legal notice ko bike bot company ko bhej dete hain. lekin dosto iski bhi kuch conditioned h jo mai bata deta hu.
1. Aap legal action tabhi bhej sakte h,jab aapke cheque bounced hue 30 days se jyada samay na hua ho, yani agar aapka cheque bounce 01 january ko hua h to aap kewal 30 january tak hi cheque bounced legal notice send kar sakkte h. 30 days cross hone ke bad aap legal notice nahi bhej sakte.
2. Jaise hi aap BIKE BOT company ko legal notice bhej dete h aur vo legal notice bike bot company ko mil jata h.Tab se 15 days ka aapko wait karna h aur usake bad aap 30 days ke ander court case kar sakte ho.
3. Agar aap 30 days ke ander court case nahi karte ho to ye time period aap extend bhi karwa sakte hain lekin ye time aap kewal ek hi bar extend kar sakte ho 
4. Yani ki dosto aap logo ke pass BIKE BOT Company dwara legal notice accept karne  ke bad 45 days ka time hot h court me case karne ke liye aur se sab provision Instrumental  act 138 ke under aata h .
                                        Dosto aap bina kisi advocate ki help ke direct legal notice company ko bhej sakte hain,aur compnay ka kya reply aata h wo dekhne  ke bad case filed kar sakte hain.
                                        
To dosto  uper diye gae download se aap BIKE BOT cheque bounced legal proforma ko download kar sakte h aur bina kisi advocate ki help ke aap directly company ko legal notice bhej sakte hain.

Who is liable for Cheque Bounce: 

                                                        Dosto ab aapke man ye sawal aa raha hona ki cheque bounce case me kon cheque bounce ke liye responsible hoga yani cheque bounce case company par hoga ya kis par. to dosto isak pura answer Instrumental act 138 me bataya gaya h ki Company ek non living subtance h, To jisne Cheque par sign kiye h wo ya phir company ka Managing Director iske liye responsible hoga.Ab aapko case usake uper karna h jisane cheque ke uper sign kiye h aur dosto isme yah bhi provision h ki agar court chahe to baki sbhi company me kam karne walo ko bhi isake liye fix kar sakti .

 BIKE BOT CHEQUE BOUNCE PUNISHMENT:  

                                                           Ab mai aap logo ko bata du ki agar aap  cheque bounced ka case karte hain to kya kya punishment ka provision h Instrumental act 138 me .
1. Cheque bounced ke case me Two year ki Jail ka prawdhan h.
2. Jitne rupay ka cheque bounced hua h uska double amount company ya director ka pay karna pad sakta h .
3. all the above.
                                To dosto maine bike bot cheque bounced ke bare me simple aur sahi tarike se samjhane ki koshish ki h agar aapko hamare article se koi help mili hui h to please other investor ke sath share kare .aur hamare newsletter ko subscribe kare
thanks for reading 

Post a Comment

3 Comments

  1. After legal notice can necessity to logged court case any other way for save the fees of advocates

    ReplyDelete
  2. Download link not working...plz help..

    ReplyDelete
  3. Company adress change hone ke karan notice lot aya to 138 kar sakte he kya?

    ReplyDelete

Thanks for Contacting to us. We will revert You shortly, Regards