CHEQUE RETURNED REASON 36: WRONGLY DELIVERED,NOT DRAWN US. CHEQUE RETURNED AND BOUNCE ALL CODE. BIKE BOT POST DATED CHEQUE

BIKE BOT CHEQUE RETURN BY REASON. BIKE BOT CHEQUE BOUNCE
CHEQUE RETURNED REASON 36: WRONGLY DELIVERED,NOT DRAWN US. CHEQUE RETURNED AND BOUNCE ALL CODE. 

BIKE BOT CHEQUE RETURNED/BOUNCE:

                                                             Hello dosto welcome back to our website and today we are going to explain the various reason behind cheque bounce/cheque returned and you can also find here all reason code which are mainly used in cheque when your cheque goes to bounce or has returned to you.Jaisa ki aap log janate hain ki BIKE BOT  company ne lakho ki sankha me post dated cheque ko investor ko pakda diya aur jab wo investor in cheque ko bank me lagate hain to har bar bank alag alag reason status me dalkar wapas investor ko pakda deta hai. Aur hamare investor confuse ho jate hain ki actual me jo cheque par reason likhkar aaya hai sahi me uska meaning kya hai aur ab hame kya karna chahiye.

WHAT IS CHEQUE DISHONOR :

                                                Jab aapka cheque insufficient fund,signature not found, account closed yani ki jis company ya person ne aapko cheque diya hai, us ki galati ke karan aapka cheque clear nahi ho pata to us case me cheque ko dishonor bola jata hai. aur jis person ne cheque ko bank me lagaya hai,bank us ke uper ek fixed amount ki penalty lagate hain jise cheque bounce penalty kahte h aur aesa hone par aap directly cheque bounce ka legal action samne wali party par kar sakte hain . download cheque bounce list from this link 
                  
 chequ bounce

What is CHEQUE RETURN:

                                       Jab aap koi bhi cheque bank me lagate hain aur kisi wajah se cheque return ho jate, jaise ki clerical mistake, bank network fail, bank connectivity issue,cutting on cheque and other issue ki wajah se cheque return ho jata hai.Aur aesa hone par bank aapke uper koi bhi charge nahi lagata.aur aap cheque bounce legal action issuer ke khilaph nahi le sakte.
                 CHEQUE BOUNCE CODE  
                         cheque

BIKE BOT CHEQUE RETURN MAIN REASON WITH CODE:

                                       Bike bot cheque mainly ya to return ho rahe hain ya phir wo cheque bounce ho rahe hain. aur sab cheque me mainly kuch specified reason code hi use kiya ja raha hai jo mai abhi explain karunga.
1. Reason code 01- Insufficient fund-
                                                       all investor noticed that in some cheque you will find cheque bounce with reason code 01. iska matlab hai jis bank account se aapka cheque clear hona tha, same bank account me paise nahi hai, isliye cheque bounce hota hai.



2. Reason code 36- wrongly delivered/not drawan on us:
                                   Dosto hamare kal ki date me bahut sare investor ko ye reason code mila hai ki cheque return with reason code 36. Isko mai full explain karta hu. Agar aapka cheque CTS yani all branches clearance wala hai to ye problem nahi aaegi.
lekin agar aapka cheque clearance at home branch ya phir specified branch se clearance wala h to ye problem aati hai. aur ye puri galati bank walo ki hai jaha par aapne wo cheque ko lagaya hai.
                                                 Jaise ki aapka cheque ka clearance delhi ki Noble cooperative bank ki Kashmiri gate ki branch me clear hona tha aur aapne us cheque SBI me lagaya hai, lekin SBI bank us cheque ko galati s-e Noble coopertive bank ki Paharganj ki branch me bhej deti clearance ke liye. Tab waha ka bank cheque ko SBI bank me return kar dega aur sath me ek memo dega ki cheque wrongly delivered/not drawan us.
                                               es tarah ke case me investor ko cheque dobara se phir bank me lagana hai aur wahi bank usi cheque ko sahi jagah par bhejega, ye puri bank ki responsibility hoti hai ,aapko pata hona chahiye .

3. Reason code 55- ACCOUNT BLOCKED:
                                                                Reason code 55 mainly used for if bank account blocked by some suspicious activity by bank of payee. yani ki agar jis account se aapka bank cheque clear hona tha yadi ho bank account kisi bhi wajah se blocked ho jata hai to .

4. Reason code 50- ACCOUNT CLOSED:
                                                       Jab koi company ya person aapko cheque deta hai, aur aapke bank me cheque lagane se pahle wo same bank account ko band kar deta hai to ese reason code 50 ke under mana jata hai.

                          Dosto bike bot post dated cheque me mainly yahi reason code ke sath ya to aapka cheque bounce ho jata hai ya phir aapke pass return aa jata hai. aur aapko sab pata hona chahiye ki kis reason code ke ander hum legal action le sakte hain aur kis reason code he under hum legal action nahi le sakte .
                                           agar aapke sath kuch aesa hua hai to aap hame contact us section me jakar contact kar sakte hain , mai aapko jaldi hi reply dunga .

Post a Comment

1 Comments

  1. Sir cheqe bounce ho gaya hai senior se koi madad nahi mil rahi hai please helps

    ReplyDelete

Thanks for Contacting to us. We will revert You shortly, Regards