State Bank of India ne ATM Rule from Oct |
State Bank of India new ATM Rule: ATM Transactions charged Rs 20:
Hello dosto swagat h aapka hamari website me, Jaisa ki aap log janate hai ki SBI bank hamre Desh ka sabse bada bank h.Aur jitane bhi hamare desh me sarkari employee hain special Jo ki hamare desh ke sainik hain chahe wo ARMY, NAVY, AIRFORCE, BSF, CISF,ITBP,POLICE ya Home Guard kisi bhi force se belongs karta h to lagbagh sabhi ke account hamare SBI bank me hain.Aur jaisa ki hum janate hain ki time ki kami ke karan hame bahur sare point bankig se related nahi pata hote aur jab hum paisa nikalane ke liye kisi bhi Bank ke ATM me jate hain to paisa to jum log nikal lete hain lekin usake bad hum soche hain ki hamara kam to khatm ho gaya aur hum paise lekar nikal jate hain. lekin usake bad agar hamne paisa nikalte hue thodi si bhi mistake ki h to bank hamare uper kuch paise ki penalty laga deta hai aur jis par hum thoda sa bhi dhyan nahi dete. aaj ke isi article me mai pura cover karunga ki oct mahine se SBI bank ne apne ATM Rule ko thoda sa change kia h, aur aap logo ko pura pata chal jaega ki kaise hame apne ATM ka sahi tarah se use karna hai.
ATM Withdrawal ki jaruri bante:
1. Agar aapka saving account SBI Bank me h to aap kewal ek mahine me 8 free ATM transactions, aapko SBI ATM par 5 transactions aur dusare ATM par 3 transactions.
2. lekin agar non mertro city ya gaon me rahte ya transactions karte ho to aap 10 bar paisa withdrawal kar sakte hain- 5 SBI ATM and 5 Non SBI ATM.
3. Agar aap uper diye gaye transactions criteria ke alawa extra koi bhi ATM withdrwal karte ho to aapko 20rs with GST charges dena hoga.
4. Agar aap kisi ATM se paise withdraw karte ho aur aapko account me paise nahi hain to isake liye SBI Bank aapko 20rs with GST charge karega.
5. uper diye gae ye sab criteria 1 oct 2019 se sab jagah par lagu ho jaega.
2. lekin agar non mertro city ya gaon me rahte ya transactions karte ho to aap 10 bar paisa withdrawal kar sakte hain- 5 SBI ATM and 5 Non SBI ATM.
3. Agar aap uper diye gaye transactions criteria ke alawa extra koi bhi ATM withdrwal karte ho to aapko 20rs with GST charges dena hoga.
4. Agar aap kisi ATM se paise withdraw karte ho aur aapko account me paise nahi hain to isake liye SBI Bank aapko 20rs with GST charge karega.
5. uper diye gae ye sab criteria 1 oct 2019 se sab jagah par lagu ho jaega.
SBI offer to Salary Account:
Lekin hamare salary account holder ko dosto darne ki jaruarat nahi h, agar bank account SBI me salary account hai to uper diye gaye conditions aap logo par lagu par lagu nahi hoti. SBI ne directly clear kar diya h ki agar aapka account SBI bank me salary account h to aap all india me kitni bhi transactions kar sakte hain.
1. No limit for ATM withdrawal in SBI ATM.
2. NO limit for ATM withdrawal in non SBI ATM.
SBI Min balance charges:
SBI bank ne apne min balance ko bhi bahut jayda kam kar diya hai. yaki pahle aapko min balance 5000 rs rakhne ki jaruarat hoti thi lekin abhi aapko metro and non metro me only 3000 rs aapke bank account me rakhne ki jarurat hai .
agar aap 3000 rs bhi apne account me maintain nahi rakhte ho to pahle aapko 80rs dene ki jarurat padti thi lekin abhi sbi ne isko 80% tak kam kar diya hai,yani 01oct 2019 se apko kewal 15rs dena hoga- non maintenance of min balance in bank account .
Dosto uper di gai sabhi conditions only saving account par 01 oct 19 se hi lagu hogi. yani salary account holder ko sbi ne special features diye hain jo 01 oct se active ho jaenge aur PMSP AND DSP ke liye bhi new features ko same active kar diya h .
0 Comments
Thanks for Contacting to us. We will revert You shortly, Regards