BIKE BOT LEGAL NOTICE TO YOUTUBER? BIKE BOT COMPANY NE YOUTUBER KO BHEJA LEGAL NOTICE.

bike bot latest update,bike bot new update
BIKE BOT LEGAL ACTION AGAINST YOUTUBER

BIKE BOT LEGAL NOTICE NEW DRAMA:-

                                                                                                    Hello Dosto swagat h dobara se hamari website me aur Dosto aaj bada hi dimag kharab karne wala questions mere samne bike bot company ne rakh diya h,Abhi is tarah ki condition me sirf aap logo ki sahayata aur sahyog hi kam aayega.
                          Matter: Actually bat yah h ki dosto aap log janate h ki m hamesha se hi fraud ke against ladne ki koshish ki aur isliye sabse pahle jaisa ki aap log janate h ki maine hi BIKE BOT company ke new fraud plan ko logo ke samne lekar aaya tha, aur sabse pahle 2017 ke october mahine me maine aap logo ko bataya tha ki koi bhi investor bike bot company me apne  paise invest na kare,Nahi to usko ek bhi paisa return me nahi milega aur jaisa ki app log janate  h ki BIKE BOT company fraud sabit hui aur maine apne Youtube channel ke through BIKE BOT company se ladne  ke har prayas kiye .
                            leking abhi BIKE BOT company ke advocate ne mujhe ek Legal Notice  bheja h aur usame likha h ki aapke youtube channel par BIKE BOT se related bahut sari video h, aur un sab video me apne bike bot ke bare me galat news di h, jisase BIKE BOT company ki  image aur garima par bahut bada dhakka laga h.

BIKE BOT LEGAL NOTICE AND DEMAND:

                                               Legal Notice me saf taur par likha h, aane wale three days ke ander sab video delete kar do aur ek email me company se maafi maang lo.Nahi to aapko 1000000 rs jurmana aur sath me apke youtube channel ko band hone  ke sath, apko bhi 2 years ki jail ho ssakti h. 

BIKE BOT LEGAL NOTICE: 
 download
Dosto aap diye gae uper download link se us legal notice ko download kar sakte ho aur aap dekh sakte h ki kaise bike bot company ke upliner jo abhi khule aam bahar ghum rahe, paise ke dum par hum logo ki aawaj ko dabana chahate  h. taki bike bot scam ka pura mamala aesi hi nipatana chahate h taki pure fraud ko anjam dekar aasani se bahar nikal jae.
                            lekin notice me kya kaha gaya h"You are also liable to pay a sum of rs 1,00,000/ towards charges for the present notice. Copy retained .our client reserves the right to further modify or amend the present legal notice".

WHAT IS MY RESPONSIBILITY ON THIS TIME:

                Dosto m yakin dilata hu jab tak BIKE BOT paisa har investor ke pass wapis nahi aa jata, Tab tak m chupchap nahi bathunga chahe mere pass kitne bhi Legal Notice ya kuch bhi aa jae aur is legal notice ka jawab dene ke liye maine bhi wakil/Advocate ko ready karna padega taki m iska jawab puri tarah se legal mode me hi dunga.
                      Dosto  legal notice ka jawab hum legal tariye se hi denge.Dosto aap logo ki kya comment k please comment section me apni comment jarur de taki mujhe sahi tarike se guide mil sake aur jo legal notice mujhe mila same yahi legal notice ko Bikebot  company ne youtube ko  bhi forward kia h taki hamara channel jo MONEY SOLUTION h wo band ho sake .

Post a Comment

17 Comments

  1. Replies
    1. Ye notice hi farji hai bhai. Koi stamp nhi hai, legel notice aisi nhi hoti hai. Aap koi vedio delete nhi karna

      Delete
  2. Ye jo advocate hai usse miliye.or sale ko 50 jute mariye or boliye ki ye ligal notic dene wala tera bap kaha hai

    ReplyDelete
  3. भाईजी, यह सब कानून के दायरे में हैं, कानूनी प्रक्रिया में जैसा होगा वैसा होगा ।

    ReplyDelete
  4. Sir karan pal ke father ka Kya name he.
    Please batayen

    ReplyDelete
    Replies
    1. Sir karan pal ke father ka Kya name he. Please likh kar reply kare

      Delete
  5. Sir aap lado. Aap bhi reply do. Agar pesa lagta he to batao mene aapko personally pesa dunga. Mera no.7986025641. I am from defence.Darna nehi sir.

    ReplyDelete
  6. Rajesh panchal ka kam hoga use settlement ke nam pe bhut time karab kia

    ReplyDelete
  7. There 메리트카지노 are additionally lay bets, in which people bet on whether or not one thing will not happen before a specified time. In the state of Nevada, USA, tax receipts just from sports betting totaled $248.8 million in fiscal 12 months 2017. People with gambling addiction don’t always gamble incessantly. Together, gambling interests spent greater than $440 million on the measures—doubling the earlier report for spending on ballot campaigns. Tribes and on-line gaming corporations alike are certain to spend lots of of tens of millions extra in future lobbying and ballot measures—whatever it takes to win.

    ReplyDelete

Thanks for Contacting to us. We will revert You shortly, Regards